kya KHabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai
kyā ḳhabar thī ishq meñ aisā bhī ik daur aa.e hai
baat kaisī saañs letā huuñ to jī ghabrā.e hai
rahm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyoñ Dhaa.e hai
husn aur betāb-o-hairāñ kis se dekhā jaa.e hai
yuuñ to un kī yaad se miltī hai taskīn-e-hayāt
aur jab taḌpā.e hai zālim bahut taḌpā.e hai
ḳhushk āñkheñ muskurāte hoñT chehra mutma.in
yuuñ bhī aksar dāstān-e-ġham sunā.ī jaa.e hai
aur to kyā zindagī kā hosh tak chhoḌā nahīñ
lūTne vaale kahīñ aise bhī luuTā jaa.e hai
rañg-e-gulshan dekhne vaale kabhī ye bhī to dekh
nannhī nannhī pattiyoñ meñ kaun ras dauḌāye hai
ishq ke maare hue duniyā ko dekheñ bhī to kyā
jab nazar uThtī hai koī sāmne aa jaa.e hai
husn chhuptā phir rahā hai muḳhtalif pardoñ meñ 'kaif'
ishq kī zālim nazar ke sāmne kaun aa.e hai
kya KHabar thi ishq mein aisa bhi ek daur aae hai
baat kaisi sans leta hun to ji ghabrae hai
rahm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyon Dhae hai
husn aur betab-o-hairan kis se dekha jae hai
yun to un ki yaad se milti hai taskin-e-hayat
aur jab taDpae hai zalim bahut taDpae hai
KHushk aankhen muskuraate honT chehra mutmain
yun bhi aksar dastan-e-gham sunai jae hai
aur to kya zindagi ka hosh tak chhoDa nahin
luTne wale kahin aise bhi luTa jae hai
rang-e-gulshan dekhne wale kabhi ye bhi to dekh
nannhi nannhi pattiyon mein kaun ras dauDaye hai
ishq ke mare hue duniya ko dekhen bhi to kya
jab nazar uThti hai koi samne aa jae hai
husn chhupta phir raha hai muKHtalif pardon mein 'kaif'
ishq ki zalim nazar ke samne kaun aae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.