kya KHabar thi ishq mein ye bhi sitam ho jaega
kyā ḳhabar thī ishq meñ ye bhī sitam ho jā.egā
aañkh meñ aañsū na hoñge dard kam ho jā.egā
apne aiboñ dūsroñ kī ḳhūbiyoñ par rakh nazar
tū bhī duniyā kī nazar meñ mohtaram ho jā.egā
mere aañsū jaise un kī aañkh se bahne lage
kyā kabhī ye mo.ajiza ai chashm-e-nam ho jā.egā
kis ko thā ma.alūm hañstā kheltā bachpan mirā
muflisī kī zad meñ aa ke vaqf-e-ġham ho jā.egā
pasta-qad logoñ meñ 'farhat' sar-bulandī jurm hai
dekhnā terā bhī ik din sar qalam ho jā.egā
kya KHabar thi ishq mein ye bhi sitam ho jaega
aankh mein aansu na honge dard kam ho jaega
apne aibon dusron ki KHubiyon par rakh nazar
tu bhi duniya ki nazar mein mohtaram ho jaega
mere aansu jaise un ki aankh se bahne lage
kya kabhi ye moajiza ai chashm-e-nam ho jaega
kis ko tha malum hansta khelta bachpan mera
muflisi ki zad mein aa ke waqf-e-gham ho jaega
pasta-qad logon mein 'farhat' sar-bulandi jurm hai
dekhna tera bhi ek din sar qalam ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.