kya KHabar thi wo mata-e-be-baha le jaega
kyā ḳhabar thī vo matā-e-be-bahā le jā.egā
chhīn kar āñkhoñ se ḳhvāboñ kī ridā le jā.egā
maiñ kaf-e-afsos hī maltā rahūñgā umr bhar
vo mirī ġhairat kī dastār-o-qabā le jā.egā
kyā ḳhabar thī is tarah badlegā fitrat kā nizām
vaqt ke gulshan se ġhunchoñ kī sadā le jā.egā
paar karnā hai use dariyā magar ye dekhnā
kah rahā hai saath ik kachchā ghaḌā le jā.egā
sūrat-e-qazzāq koī aa.e yā mānind-e-dost
'shān' koī aa.e mere ghar se kyā le jā.egā
kya KHabar thi wo mata-e-be-baha le jaega
chhin kar aankhon se KHwabon ki rida le jaega
main kaf-e-afsos hi malta rahunga umr bhar
wo meri ghairat ki dastar-o-qaba le jaega
kya KHabar thi is tarah badlega fitrat ka nizam
waqt ke gulshan se ghunchon ki sada le jaega
par karna hai use dariya magar ye dekhna
kah raha hai sath ek kachcha ghaDa le jaega
surat-e-qazzaq koi aae ya manind-e-dost
'shan' koi aae mere ghar se kya le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.