kya KHabar thi yak-ba-yak mahshar bapa ho jaega
kyā ḳhabar thī yak-ba-yak mahshar bapā ho jā.egā
vo zarā sī baat par itnā ḳhafā ho jā.egā
dost hai nārāz hai vo koī dushman to nahīñ
maiñ jo bolūñgā to ḳhud hī bolnā ho jā.egā
kyā huā gar ajnabī kī tarah phirtā huuñ maiñ aaj
kal mujhe ye shahr ḳhud pahchāntā ho jā.egā
sub.h tak aḳhbār kuchh bhūke to rah sakte nahīñ
raat to hone do koī hādisa ho jā.egā
chhāñT de jallād tū qatre hamāre ḳhuun ke
aur bhī kuchh rang-e-maqtal ḳhushnumā ho jā.egā
fikr-e-mustaqbil se kyoñ mar mar ke jiitā hai 'azīz'
hone vaalā hai jo qismat kā likhā ho jā.egā
kya KHabar thi yak-ba-yak mahshar bapa ho jaega
wo zara si baat par itna KHafa ho jaega
dost hai naraaz hai wo koi dushman to nahin
main jo bolunga to KHud hi bolna ho jaega
kya hua gar ajnabi ki tarah phirta hun main aaj
kal mujhe ye shahr KHud pahchanta ho jaega
subh tak aKHbar kuchh bhuke to rah sakte nahin
raat to hone do koi hadisa ho jaega
chhanT de jallad tu qatre hamare KHun ke
aur bhi kuchh rang-e-maqtal KHushnuma ho jaega
fikr-e-mustaqbil se kyon mar mar ke jita hai 'aziz'
hone wala hai jo qismat ka likha ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.