kya KHabar thi yun mujhe ye aasman likh jaega
kyā ḳhabar thī yuuñ mujhe ye āsmāñ likh jā.egā
vaqt ke aurāq par harf-e-ziyāñ likh jā.egā
tīrgī kī vus.ateñ apnī jagah mahfūz haiñ
vo sitāroñ ke safar ko kahkashāñ likh jā.egā
kāġhazī phūloñ ko le kar yuuñ qatāroñ meñ na rakh
sar-phirā koī mo.arriḳh gulsitāñ likh jā.egā
sail-e-ġham aa.egā chupke se miTāne ke liye
reg-e-sāhil par vo jab nām-o-nishāñ likh jā.egā
apne andar ke ḳhalā meñ gum huā jaatā hai vo
ab makāñ ko bhī kisī din lā-makāñ likh jā.egā
duur tak bikhrī paḌī haiñ sā.atoñ kī kirchiyāñ
ab vo shāyad vaqt ko nā-mehrbāñ likh jā.egā
kyoñ miTātī phir rahī hai gardish-e-ayyām tū
likhne vaalā mujh ko harf-e-jāvedāñ likh jā.egā
kah rahā huuñ maiñ bhī apnī zindagī ke vāqi.āt
likhte likhte vo bhī apnī dāstāñ likh jā.egā
kya KHabar thi yun mujhe ye aasman likh jaega
waqt ke auraq par harf-e-ziyan likh jaega
tirgi ki wusaten apni jagah mahfuz hain
wo sitaron ke safar ko kahkashan likh jaega
kaghazi phulon ko le kar yun qataron mein na rakh
sar-phira koi moarriKH gulsitan likh jaega
sail-e-gham aaega chupke se miTane ke liye
reg-e-sahil par wo jab nam-o-nishan likh jaega
apne andar ke KHala mein gum hua jata hai wo
ab makan ko bhi kisi din la-makan likh jaega
dur tak bikhri paDi hain saaton ki kirchiyan
ab wo shayad waqt ko na-mehrban likh jaega
kyon miTati phir rahi hai gardish-e-ayyam tu
likhne wala mujh ko harf-e-jawedan likh jaega
kah raha hun main bhi apni zindagi ke waqiat
likhte likhte wo bhi apni dastan likh jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.