kya KHata thi meri wo KHafa ho gae
kyā ḳhatā thī mirī vo ḳhafā ho ga.e
maiñ ne samjhā thā kyā aur kyā ho ga.e
jo mohabbat pe qurbān hote rahe
saf.ha-e-dahr par lā-fanā ho ga.e
jis kī fitrat meñ hī thī sirisht-e-vafā
haif hai vo bhī ab bevafā ho ga.e
nā-ḳhudā.ī bhī aatī nahīñ thī jinheñ
kyā zamāna hai vo bhī ḳhudā ho ga.e
kal bhī fitnoñ se ḳhālī na thā ye jahāñ
aaj bhī kitne fitne bapā ho ga.e
yuuñ ġham-e-zindagī ne nikhārā hameñ
ham ḳhazaf se dur-e-be-bahā ho ga.e
paikar-e-nāz kī nāzukī dekhiye
ham bhī 'anjum' ġhazal-āshnā ho ga.e
kya KHata thi meri wo KHafa ho gae
main ne samjha tha kya aur kya ho gae
jo mohabbat pe qurban hote rahe
safha-e-dahr par la-fana ho gae
jis ki fitrat mein hi thi sirisht-e-wafa
haif hai wo bhi ab bewafa ho gae
na-KHudai bhi aati nahin thi jinhen
kya zamana hai wo bhi KHuda ho gae
kal bhi fitnon se KHali na tha ye jahan
aaj bhi kitne fitne bapa ho gae
yun gham-e-zindagi ne nikhaara hamein
hum KHazaf se dur-e-be-baha ho gae
paikar-e-naz ki nazuki dekhiye
hum bhi 'anjum' ghazal-ashna ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.