kya kijiye jo qadr-e-sharafat nahin rahi
kyā kījiye jo qadr-e-sharāfat nahīñ rahī
shāyad kisī ko is kī zarūrat nahīñ rahī
dāman-kashāñ guzarte haiñ ik dūsre se log
pahlī sī ab vo rasm-e-muravvat nahīñ rahī
shādāb the jo phuul to ḳhushbū luTāte the
pazhmurda ho ga.e to saḳhāvat nahīñ rahī
batlā diyā hai ham ko fasādāt ne yahī
ḳhūn-e-bashar kī ab koī qīmat nahīñ rahī
kya kijiye jo qadr-e-sharafat nahin rahi
shayad kisi ko is ki zarurat nahin rahi
daman-kashan guzarte hain ek dusre se log
pahli si ab wo rasm-e-murawwat nahin rahi
shadab the jo phul to KHushbu luTate the
pazhmurda ho gae to saKHawat nahin rahi
batla diya hai hum ko fasadat ne yahi
KHun-e-bashar ki ab koi qimat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.