kya kisi ki talab nahin hoti
kyā kisī kī talab nahīñ hotī
shā.irī be-sabab nahīñ hotī
jaane kis dhun meñ bhāge jaate haiñ
justujū jī meñ kab nahīñ hotī
bā-adab dushmanī ko kyā ro.eñ
dostī bā-adab nahīñ hotī
chāñd us vaqt bhī to hotā hai
jab kisī ghar meñ shab nahīñ hotī
ham ne duniyā meñ kyā nahīñ dekhā
hashr kī fikr ab nahīñ hotī
mai-kade meñ bhī kuchh na kuchh to hai
bhiiḌ yuuñ hī ġhazab nahīñ hotī
kaun sachchā hai kaun jhūTā hai
ye jirah ham se ab nahīñ hotī
kya kisi ki talab nahin hoti
shairi be-sabab nahin hoti
jaane kis dhun mein bhage jate hain
justuju ji mein kab nahin hoti
ba-adab dushmani ko kya roen
dosti ba-adab nahin hoti
chand us waqt bhi to hota hai
jab kisi ghar mein shab nahin hoti
hum ne duniya mein kya nahin dekha
hashr ki fikr ab nahin hoti
mai-kade mein bhi kuchh na kuchh to hai
bhiD yun hi ghazab nahin hoti
kaun sachcha hai kaun jhuTa hai
ye jirah hum se ab nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.