kya kisi mai-kash ne mangi hai dua barsat ki
kyā kisī mai-kash ne māñgī hai duā barsāt kī
mai-kada-bardosh aatī hai ghaTā barsāt kī
kyoñ havā bāñdhe na ab har pārsā barsāt kī
be-piye mad.hosh kartī hai fazā barsāt kī
ek muddat se hameñ bhūlā huā thā mai-kada
kuchh taqāzā kar rahī hai phir havā barsāt kī
yuuñ uḌāyā jā rahā thā mere rone kā mazāq
aaj us ne baat chheḌī bārhā barsāt kī
shaġhl-e-mai-noshī hai jaa.ez is liye barsāt meñ
kuchh to piinā chāhiye khā kar havā barsāt kī
dahr meñ ye do hī chīzeñ haiñ dalīl-e-barshgāl
yā hamārī chashm-e-giryāñ yā ghaTā barsāt kī
miltī-jultī hai hamārī chashm-e-giryāñ se bahut
ik zarā pāband-e-mausam hai ghaTā barsāt kī
sāvan aate hī jo ham ro.e kisī kī yaad meñ
ho ga.ī 'sāhir' yahīñ se ibtidā barsāt kī
kya kisi mai-kash ne mangi hai dua barsat ki
mai-kada-bardosh aati hai ghaTa barsat ki
kyon hawa bandhe na ab har parsa barsat ki
be-piye madhosh karti hai faza barsat ki
ek muddat se hamein bhula hua tha mai-kada
kuchh taqaza kar rahi hai phir hawa barsat ki
yun uDaya ja raha tha mere rone ka mazaq
aaj us ne baat chheDi barha barsat ki
shaghl-e-mai-noshi hai jaez is liye barsat mein
kuchh to pina chahiye kha kar hawa barsat ki
dahr mein ye do hi chizen hain dalil-e-barshgal
ya hamari chashm-e-giryan ya ghaTa barsat ki
milti-julti hai hamari chashm-e-giryan se bahut
ek zara paband-e-mausam hai ghaTa barsat ki
sawan aate hi jo hum roe kisi ki yaad mein
ho gai 'sahir' yahin se ibtida barsat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.