kya koi dard dil ke muqabil nahin raha
kyā koī dard dil ke muqābil nahīñ rahā
yā ek dil bhī dard ke qābil nahīñ rahā
un ke lahū kī dahr meñ arzāniyāñ na pūchh
jin kā gavāh dāman-e-qātil nahīñ rahā
apnī talāsh hai hameñ āñkhoñ ke shahr meñ
ā.īna jab se apne muqābil nahīñ rahā
sargarmi-e-hayāt hai be-maqsad-e-hayāt
sab rah-navard-e-shauq haiñ mahmil nahīñ rahā
us kā ḳhayāl aatā hai apne ḳhayāl se
ab vo bhī apnī yaad meñ shāmil nahīñ rahā
kya koi dard dil ke muqabil nahin raha
ya ek dil bhi dard ke qabil nahin raha
un ke lahu ki dahr mein arzaniyan na puchh
jin ka gawah daman-e-qatil nahin raha
apni talash hai hamein aankhon ke shahr mein
aaina jab se apne muqabil nahin raha
sargarmi-e-hayat hai be-maqsad-e-hayat
sab rah-naward-e-shauq hain mahmil nahin raha
us ka KHayal aata hai apne KHayal se
ab wo bhi apni yaad mein shamil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.