kya koi din bacha hai na banda hisab de
kyā koī din bachā hai na banda hisāb de
duniyā meñ bhī salīb pe mar ke javāb de
kar de karishma aisā ubūr-e-kitāb de
denā tū jis ko chāhe use be-hisāb de
sūraj kī aarzū meñ kuchal Daalī kahkashāñ
kis ḳhaak meñ the kitne sitāre hisāb de
rahmat ke saath chāhūñ razā-e-ḳhudā bhī ho
mahshar ke roz baḳhsh na koī 'azāb de
yuuñ aa.ine se dil ke tū har zang ko miTā
is dil ke aa.ine ko na.ī āb-o-tāb de
pahuñchūñ jo maiñ salām malā.ek mujhe kaheñ
baḳhshish ho yuuñ ki sāqī-e-kausar sharāb de
ab 'ishq kā gunāh to sarzad huā hī hai
chāhe 'azāb de tū ki chāhe savāb de
ab roz kī tarah tū na yuuñ lait-o-la.al kar
kar dar-guzar gunāh tū musbat javāb de
jalva 'atā ho hashr ke maidān meñ mujhe
aur mustazād mujh ko tū jalve kī taab de
kya koi din bacha hai na banda hisab de
duniya mein bhi salib pe mar ke jawab de
kar de karishma aisa ubur-e-kitab de
dena tu jis ko chahe use be-hisab de
suraj ki aarzu mein kuchal Dali kahkashan
kis KHak mein the kitne sitare hisab de
rahmat ke sath chahun raza-e-KHuda bhi ho
mahshar ke roz baKHsh na koi 'azab de
yun aaine se dil ke tu har zang ko miTa
is dil ke aaine ko nai aab-o-tab de
pahunchun jo main salam malaek mujhe kahen
baKHshish ho yun ki saqi-e-kausar sharab de
ab 'ishq ka gunah to sarzad hua hi hai
chahe 'azab de tu ki chahe sawab de
ab roz ki tarah tu na yun lait-o-lal kar
kar dar-guzar gunah tu musbat jawab de
jalwa 'ata ho hashr ke maidan mein mujhe
aur mustazad mujh ko tu jalwe ki tab de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.