kya koi zamane mein sitamgar nahin hota
kyā koī zamāne meñ sitamgar nahīñ hotā
hotā hai magar aap se baḌh kar nahīñ hotā
siine se lagātā hai vahī ahl-e-vafā ko
dil jis kā tumhārī tarah patthar nahīñ hotā
ġham aap kā hai mere liye ek ḳhazāna
har ik ko ḳhazāna ye mayassar nahīñ hotā
jo sūd-o-ziyāñ soch rahā ho sar-e-sāhil
vo bahr-e-mohabbat kā shanāvar nahīñ hotā
ham gardish-e-daurāñ ke satā.e hue insāñ
mar jaate shivāloñ kā jo vā dar nahīñ hotā
is daur meñ 'parvāz' ḳhudā to hai baḌī chiiz
insāñ kā bhī dīdār mayassar nahīñ hotā
kya koi zamane mein sitamgar nahin hota
hota hai magar aap se baDh kar nahin hota
sine se lagata hai wahi ahl-e-wafa ko
dil jis ka tumhaari tarah patthar nahin hota
gham aap ka hai mere liye ek KHazana
har ek ko KHazana ye mayassar nahin hota
jo sud-o-ziyan soch raha ho sar-e-sahil
wo bahr-e-mohabbat ka shanawar nahin hota
hum gardish-e-dauran ke satae hue insan
mar jate shiwalon ka jo wa dar nahin hota
is daur mein 'parwaz' KHuda to hai baDi chiz
insan ka bhi didar mayassar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.