kya kuchh mila na hum ko mahrumi-e-nazar se
kyā kuchh milā na ham ko mahrūmī-e-nazar se
kuchh daav mustanad se kuchh zaḳhm mo'atabar se
chheḌo na saaz dil kā sahmī huī nazar se
baḌhtī hai be-qarārī taskīn-e-muḳhtasar se
kitnī badal ga.ī haiñ insāniyat kī qadreñ
ham zindagī ke hāthoñ ḳhud zindagī ko tarse
kitnī buland himmat haiñ zindagī kī nazreñ
Takrā rahī haiñ baḌh kar ab vaqt kī nazar se
kaam aa.ī apne 'aḳhtar' dīvāngī ḳhud apnī
bach bach ke chal rahe haiñ har ek kī nazar se
kya kuchh mila na hum ko mahrumi-e-nazar se
kuchh daw mustanad se kuchh zaKHm mo'atabar se
chheDo na saz dil ka sahmi hui nazar se
baDhti hai be-qarari taskin-e-muKHtasar se
kitni badal gai hain insaniyat ki qadren
hum zindagi ke hathon KHud zindagi ko tarse
kitni buland himmat hain zindagi ki nazren
Takra rahi hain baDh kar ab waqt ki nazar se
kaam aai apne 'aKHtar' diwangi KHud apni
bach bach ke chal rahe hain har ek ki nazar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.