kya kya diye fareb har ek etibar ne
kyā kyā diye fareb har ik e'tibār ne
apnā banā diyā hai tire intizār ne
kyā jaane kitne ahl-e-tarīqat ko aaj tak
gumrāh kar diyā hai tire rahguzār ne
kuchh un kī justujū hai na kuchh apnī guftugū
ye kyā banā diyā sitam-e-rozgār ne
haañ ai nigāh-e-garm na kar muḳhtasar hayāt
ham ko hazār bojh abhī haiñ utārne
uljhe hue haiñ gesū-e-jānāñ meñ aaj tak
'ālī' chale the kākul-e-gītī sañvārne
kya kya diye fareb har ek e'tibar ne
apna bana diya hai tere intizar ne
kya jaane kitne ahl-e-tariqat ko aaj tak
gumrah kar diya hai tere rahguzar ne
kuchh un ki justuju hai na kuchh apni guftugu
ye kya bana diya sitam-e-rozgar ne
han ai nigah-e-garm na kar muKHtasar hayat
hum ko hazar bojh abhi hain utarne
uljhe hue hain gesu-e-jaanan mein aaj tak
'ali' chale the kakul-e-giti sanwarne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.