kya kya hain gile usko bata kyun nahin deta
kyā kyā haiñ gile us ko batā kyuuñ nahīñ detā
ta.azīr-e-ḳhatā mujh ko sunā kyuuñ nahīñ detā
haiñ nāvak-e-dil-doz mire yaar ke tevar
ik baar vo sab tiir chalā kyuuñ nahīñ detā
yak-tarfa mohabbat ke tazabzub se to niklūñ
is raaz se parda vo haTā kyuuñ nahīñ detā
likhtā bhī hai mujh ko sar-e-qirtās-e-mohabbat
mazmūm jo lagtā huuñ miTā kyuuñ nahīñ detā
itnā hī fasurda hai agar haal pe mere
jalva kabhī apnā vo dikhā kyuuñ nahīñ detā
sar-garm-e-safar huuñ maiñ tire dasht meñ kab se
mujh ko mirī manzil kā patā kyuuñ nahīñ detā
ḳhvābīda-nasībī bhī to terī hī atā hai
soī mirī taqdīr jagā kyuuñ nahīñ detā
jo tāb-e-tamāshā hī nahīñ us meñ 'razā' tū
vo ātish-e-furqat ko bujhā kyuuñ nahīñ detā
kya kya hain gile us ko bata kyun nahin deta
tazir-e-KHata mujh ko suna kyun nahin deta
hain nawak-e-dil-doz mere yar ke tewar
ek bar wo sab tir chala kyun nahin deta
yak-tarfa mohabbat ke tazabzub se to niklun
is raaz se parda wo haTa kyun nahin deta
likhta bhi hai mujh ko sar-e-qirtas-e-mohabbat
mazmum jo lagta hun miTa kyun nahin deta
itna hi fasurda hai agar haal pe mere
jalwa kabhi apna wo dikha kyun nahin deta
sar-garm-e-safar hun main tere dasht mein kab se
mujh ko meri manzil ka pata kyun nahin deta
KHwabida-nasibi bhi to teri hi ata hai
soi meri taqdir jaga kyun nahin deta
jo tab-e-tamasha hi nahin us mein 'raza' tu
wo aatish-e-furqat ko bujha kyun nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.