kya kya na dil pe dagh uThae hue hain hum
kyā kyā na dil pe daaġh uThā.e hue haiñ ham
ik ghar meñ sau charāġh jalā.e hue haiñ ham
ab is chaman se aur ho ummīd kyā hameñ
ai sub.h-e-nau fareb to khaa.e hue haiñ ham
un kī nigāh-o-abrū-o-ruḳhsār kā ḳhayāl
kuchh soch kar gale se lagā.e hue haiñ ham
tasvīr rū-e-yār ke husn-o-sifāt kī
is dil ke aa.ine meñ basā.e hue haiñ ham
ai dost aa ke dekh le mehmāñ-navāziyāñ
ik ḳhāna-e-umīd sajā.e hue haiñ ham
is ḳhauf se ki dil kā janāza nikal na jaa.e
apne ġham-o-alam ko chhupā.e hue haiñ ham
shāyad guzar sabā kā kabhī is taraf se ho
ik rahguzar pe phuul bichhā.e hue haiñ ham
ab vo biThā.eñ dil meñ ki dil se nikāl deñ
'sābir' kisī kī bazm meñ aa.e hue haiñ ham
kya kya na dil pe dagh uThae hue hain hum
ek ghar mein sau charagh jalae hue hain hum
ab is chaman se aur ho ummid kya hamein
ai subh-e-nau fareb to khae hue hain hum
un ki nigah-o-abru-o-ruKHsar ka KHayal
kuchh soch kar gale se lagae hue hain hum
taswir ru-e-yar ke husn-o-sifat ki
is dil ke aaine mein basae hue hain hum
ai dost aa ke dekh le mehman-nawaziyan
ek KHana-e-umid sajae hue hain hum
is KHauf se ki dil ka janaza nikal na jae
apne gham-o-alam ko chhupae hue hain hum
shayad guzar saba ka kabhi is taraf se ho
ek rahguzar pe phul bichhae hue hain hum
ab wo biThaen dil mein ki dil se nikal den
'sabir' kisi ki bazm mein aae hue hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.