kya kya na dosti ke janaze uThae hain
kyā kyā na dostī ke janāze uThā.e haiñ
thak-hār kar 'adū ke ilāqe meñ aa.e haiñ
aa dekh zindagī tirī 'izzat ke vāste
zaḳhmī laboñ se ham ne tabassum luTā.e haiñ
kis se kareñ savāl ke aavā bhī chāhiye
ham ne bhī chaak par ka.ī kuuze banā.e haiñ
tezāb chhiḌke jā.eñge rū-e-gulāb par
sunte haiñ gulsitāñ meñ vo tashrīf laa.e haiñ
maazī ko haal karne kī ye bhī hai ik lalak
āvāz tū ne dī hai to ham lauT aa.e haiñ
ham par hī raushnī kī imāmat huī tamām
ham ne diye havāoñ ke ghar meñ jalā.e haiñ
sahrā meñ zindagī kī 'alāmat bhī DhūñDhnā
ham bhī ka.ī surāġh vahāñ chhoḌ aa.e haiñ
khīñchī thī tum ne hadd-e-vafā kī jahāñ lakīr
ham hasrateñ tamām vahāñ chhoḌ aa.e haiñ
ye hai kisī ke ġham kī sharī'at kā ehtimām
āñkheñ mirī zarūr haiñ aañsū parā.e haiñ
tohfe meñ tum ne bheje the bujhte diye tamām
aur ham tumhāre vāste 'ḳhurshīd' laa.e haiñ
kya kya na dosti ke janaze uThae hain
thak-haar kar 'adu ke ilaqe mein aae hain
aa dekh zindagi teri 'izzat ke waste
zaKHmi labon se hum ne tabassum luTae hain
kis se karen sawal ke aawa bhi chahiye
hum ne bhi chaak par kai kuze banae hain
tezab chhiDke jaenge ru-e-gulab par
sunte hain gulsitan mein wo tashrif lae hain
mazi ko haal karne ki ye bhi hai ek lalak
aawaz tu ne di hai to hum lauT aae hain
hum par hi raushni ki imamat hui tamam
hum ne diye hawaon ke ghar mein jalae hain
sahra mein zindagi ki 'alamat bhi DhunDhna
hum bhi kai suragh wahan chhoD aae hain
khinchi thi tum ne hadd-e-wafa ki jahan lakir
hum hasraten tamam wahan chhoD aae hain
ye hai kisi ke gham ki shari'at ka ehtimam
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
tohfe mein tum ne bheje the bujhte diye tamam
aur hum tumhaare waste 'KHurshid' lae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.