kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge
kyā kyā na kiyā ishq meñ kyā kyā na kareñge
lekin ġham-e-jānāñ tujhe rusvā na kareñge
dāman to bhigo deñge bahar-hāl mire ashk
maanā koī tūfān pa barpā na kareñge
is tark-e-tamannā meñ bhī shāmil hai tamanna
jab ye hai to phir tark-e-tamannā na kareñge
har chand sahī maslahat-e-vaqt magar ham
apnā sar-e-ḳhuddār jhukāyā na kareñge
chamkeñge vahī charḳh-e-mohabbat pe sitāre
jo gardish-e-aflāk kī parvā na kareñge
jo maañg ke laanī paḌeñ ġhairoñ ke chaman se
ham aisī bahāroñ kī tamanna na kareñge
badleñge vahī gardish-e-ayyām kī taqdīr
jo gardish-e-ayyām se badlā na kareñge
tūfāñ jo safīnoñ ko Dubo dete the aksar
kyā ab vo safīnoñ ko Duboyā na kareñge
kyoñ mashq-e-sitam ke liye aa.iin tarāsho
ham tum se kisī jaur kā shikvā na kareñge
kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge
lekin gham-e-jaanan tujhe ruswa na karenge
daman to bhigo denge bahar-haal mere ashk
mana koi tufan pa barpa na karenge
is tark-e-tamanna mein bhi shamil hai tamanna
jab ye hai to phir tark-e-tamanna na karenge
har chand sahi maslahat-e-waqt magar hum
apna sar-e-KHuddar jhukaya na karenge
chamkenge wahi charKH-e-mohabbat pe sitare
jo gardish-e-aflak ki parwa na karenge
jo mang ke lani paDen ghairon ke chaman se
hum aisi bahaaron ki tamanna na karenge
badlenge wahi gardish-e-ayyam ki taqdir
jo gardish-e-ayyam se badla na karenge
tufan jo safinon ko Dubo dete the aksar
kya ab wo safinon ko Duboya na karenge
kyon mashq-e-sitam ke liye aain tarasho
hum tum se kisi jaur ka shikwa na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.