kya kya nahin dua kari rahmat nahin hui
kya kya nahin dua kari rahmat nahin hui
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
kyā kyā nahīñ duā karī rahmat nahīñ huī
aisī lagī thī baad duā barakat nahīñ huī
us ne muāfī maañg ke dhokā vahī diyā
par us kī bevafā.ī pe hairat nahīñ huī
aisā rahā ye silsila donoñ ke ishq kā
vo zindagī se jā ke bhī ruḳhsat nahīñ huī
vo jā rahā thā chhoḌ ke dekho mujhe magar
us ko bulāne kī koī chāhat nahīñ huī
piñjre meñ dil ke mar gayā ummīd kā sapan
so phir se dil lagāne kī himmat nahīñ huī
shahvat ne us ko shahr meñ nangā hī kar diyā
par be-hayā ko to zarā zillat nahīñ huī
kya kya nahin dua kari rahmat nahin hui
aisi lagi thi baad dua barakat nahin hui
us ne muafi mang ke dhoka wahi diya
par us ki bewafai pe hairat nahin hui
aisa raha ye silsila donon ke ishq ka
wo zindagi se ja ke bhi ruKHsat nahin hui
wo ja raha tha chhoD ke dekho mujhe magar
us ko bulane ki koi chahat nahin hui
pinjre mein dil ke mar gaya ummid ka sapan
so phir se dil lagane ki himmat nahin hui
shahwat ne us ko shahr mein nanga hi kar diya
par be-haya ko to zara zillat nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.