kya kya sadaen sunte hain Khaali makan se hum
kyā kyā sadā.eñ sunte haiñ ḳhālī makāñ se ham
behtar to ye hai bhaag chaleñ ab yahāñ se ham
sarsabz vādiyoñ kī tarah mahv-e-ḳhvāb vo
aur dhuup meñ jhulaste hue sā.ebāñ se ham
vo duur āsmān pe chaḌhtī patang kī
ik Dor the ki TuuT ga.e darmiyāñ se ham
rūhoñ kā ġhol thā ki khaḌā chīḳhtā rahā
bāhar nikal ke jā na sake jism-o-jāñ se ham
ḳhvāhish kī aag thī ki jalātī rahī hameñ
tahlīl ho ga.e haiñ fazā meñ dhuāñ se ham
kya kya sadaen sunte hain KHali makan se hum
behtar to ye hai bhag chalen ab yahan se hum
sarsabz wadiyon ki tarah mahw-e-KHwab wo
aur dhup mein jhulaste hue saeban se hum
wo dur aasman pe chaDhti patang ki
ek Dor the ki TuT gae darmiyan se hum
ruhon ka ghol tha ki khaDa chiKHta raha
bahar nikal ke ja na sake jism-o-jaan se hum
KHwahish ki aag thi ki jalati rahi hamein
tahlil ho gae hain faza mein dhuan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.