kya kya tere firaq mein yun kar nahin gaya
kyā kyā tire firāq meñ yuuñ kar nahīñ gayā
lekin hudūd-e-zāt ke bāhar nahīñ gayā
rāh-e-vafā meñ terī tasallī ke bāvajūd
tanhā kaTegī 'umr yahī Dar nahīñ gayā
kahtā thā mujh se jo ki sitāroñ se maañg bhar
phirtā yahīñ vahīñ hai falak par nahīñ gayā
mujh se bichhaḌ ke terī bhī shah-rag nahīñ kaTī
tujh se bichhaḌ ke maiñ bhī koī mar nahīñ gayā
zid thī ki tujh sā DhūñD ke lauTūñgā gaañv ko
is justujū meñ aaj bhī maiñ ghar nahīñ gayā
kya kya tere firaq mein yun kar nahin gaya
lekin hudud-e-zat ke bahar nahin gaya
rah-e-wafa mein teri tasalli ke bawajud
tanha kaTegi 'umr yahi Dar nahin gaya
kahta tha mujh se jo ki sitaron se mang bhar
phirta yahin wahin hai falak par nahin gaya
mujh se bichhaD ke teri bhi shah-rag nahin kaTi
tujh se bichhaD ke main bhi koi mar nahin gaya
zid thi ki tujh sa DhunD ke lauTunga ganw ko
is justuju mein aaj bhi main ghar nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.