kya kya wo hamein suna gaya hai
kyā kyā vo hameñ sunā gayā hai
rah rah ke ḳhayāl aa rahā hai
ik baat na kah ke aaj koī
bātoñ meñ hameñ harā gayā hai
tum ḳhush nahīñ hoge ham se mil ke
aa jā.eñge ham hamārā kyā hai
ham laakh javāz DhūñDte hoñ
jo kaam burā hai vo burā hai
kyā fā.eda fā.ede kā yaaro
nuqsān meñ kyā muzā.iqa hai
tum Thiik hī kah rahe the us din
kuchh ham ne bhī in dinoñ sunā hai
jitnī hai tirī nigāh qātil
utnī tire haath meñ shifā hai
do-shāḳha hai mere zehn meñ kyoñ
jab sāmne ek rāsta hai
kahne ko harā-bharā hai lekin
andar se daraḳht khokhlā hai
ḳhush karne ko jo kahī thī tū ne
'bāsir' usī baat par ḳhafā hai
kya kya wo hamein suna gaya hai
rah rah ke KHayal aa raha hai
ek baat na kah ke aaj koi
baaton mein hamein hara gaya hai
tum KHush nahin hoge hum se mil ke
aa jaenge hum hamara kya hai
hum lakh jawaz DhunDte hon
jo kaam bura hai wo bura hai
kya faeda faede ka yaro
nuqsan mein kya muzaiqa hai
tum Thik hi kah rahe the us din
kuchh hum ne bhi in dinon suna hai
jitni hai teri nigah qatil
utni tere hath mein shifa hai
do-shaKHa hai mere zehn mein kyon
jab samne ek rasta hai
kahne ko hara-bhara hai lekin
andar se daraKHt khokhla hai
KHush karne ko jo kahi thi tu ne
'basir' usi baat par KHafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.