kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
kyā liye jaate ho chupke se chhupā kar haath meñ
dil nahīñ hai gar to kyā hai banda-parvar haath meñ
tez ho jaatā hai aa kar kund ḳhanjar haath meñ
teġh meñ hote haiñ jauhar yaañ haiñ jo sar haath meñ
jo nahīñ pāband-e-duniyā kab hai pāband-e-qafas
tā.ir-e-jāñ ke kabhī aate nahīñ par haath meñ
be-qarārī se shab-e-furqat qayāmat ho ga.ī
maiñ jo taḌpā aa gayā dāmān-e-mahshar haath meñ
til hathelī kā hai daana aur lakīreñ daam haiñ
tā.ir-e-rang-e-hinā aatā hai uḌ kar haath meñ
be-ḳhudān-e-bāġh ko sayyād se hai kyā gazand
bulbul-e-tasvīr ke aate nahīñ par haath meñ
ġhair saaqī aur vo badmast yā-rab ḳhair ho
kyoñ nazākat se nahīñ uThtā hai sāġhar haath meñ
merī turbat par hujūm-e-andalībāñ ho gayā
kaun aatā hai liye phūloñ kī chādar haath meñ
hazrat-e-dil vo nahīñ sunte kisī kā ek harf
tum liye baiThe ho yaañ daftar kā daftar haath meñ
jazba-e-dil ne jo ghabrāyā pahan kar chal diye
haath kā paañv meñ aur paañv kā zevar haath meñ
le uḌā kyā iztirāb-e-justujū-e-nāma-bar
maiñ jo uchhlā aa ga.e jibrīl ke par haath meñ
muflisoñ kā bhī ḳhudā hai tum bhalā aaoge kyoñ
āj-kal kī āshiqī ko chāhiye zar haath meñ
josh-e-vahshat aur hai aur nā-tavānī aur hai
paañv āḳhir rah hī jaate haiñ ulajh kar haath meñ
tum ko ḳhud-bīñ kar diyā mahshar meñ le kar jā.ūñgā
aa.ina zer-e-baġhal dast-e-sikandar haath meñ
huuñ vo dīvāna tirā sahrā meñ jis kī dhuum thī
dekh kar majnūñ uThā letā thā patthar haath meñ
kaun kahtā hai ki tum ne ġhair ko bosa diyā
dekhiye to apnā muñh aa.ina le kar haath meñ
kal kisī kā ḳhuun hogā shahr meñ mash.hūr hai
'shola' mehñdī lag rahī hai aaj ghar ghar haath meñ
kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
dil nahin hai gar to kya hai banda-parwar hath mein
tez ho jata hai aa kar kund KHanjar hath mein
tegh mein hote hain jauhar yan hain jo sar hath mein
jo nahin paband-e-duniya kab hai paband-e-qafas
tair-e-jaan ke kabhi aate nahin par hath mein
be-qarari se shab-e-furqat qayamat ho gai
main jo taDpa aa gaya daman-e-mahshar hath mein
til hatheli ka hai dana aur lakiren dam hain
tair-e-rang-e-hina aata hai uD kar hath mein
be-KHudan-e-bagh ko sayyaad se hai kya gazand
bulbul-e-taswir ke aate nahin par hath mein
ghair saqi aur wo badmast ya-rab KHair ho
kyon nazakat se nahin uThta hai saghar hath mein
meri turbat par hujum-e-andaliban ho gaya
kaun aata hai liye phulon ki chadar hath mein
hazrat-e-dil wo nahin sunte kisi ka ek harf
tum liye baiThe ho yan daftar ka daftar hath mein
jazba-e-dil ne jo ghabraya pahan kar chal diye
hath ka panw mein aur panw ka zewar hath mein
le uDa kya iztirab-e-justuju-e-nama-bar
main jo uchhla aa gae jibril ke par hath mein
muflison ka bhi KHuda hai tum bhala aaoge kyon
aaj-kal ki aashiqi ko chahiye zar hath mein
josh-e-wahshat aur hai aur na-tawani aur hai
panw aaKHir rah hi jate hain ulajh kar hath mein
tum ko KHud-bin kar diya mahshar mein le kar jaunga
aaina zer-e-baghal dast-e-sikandar hath mein
hun wo diwana tera sahra mein jis ki dhum thi
dekh kar majnun uTha leta tha patthar hath mein
kaun kahta hai ki tum ne ghair ko bosa diya
dekhiye to apna munh aaina le kar hath mein
kal kisi ka KHun hoga shahr mein mashhur hai
'shola' mehndi lag rahi hai aaj ghar ghar hath mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.