kya lutf zindagi ka jo nadaniyan na hon
kyā lutf zindagī kā jo nādāniyāñ na hoñ
siine meñ dil ho aur pareshāniyāñ na hoñ
tark-e-ta.alluqāt to karte ho dekhnā
tum ko ḳhudā-na-karda pashemāniyāñ na hoñ
ye saarī iztirāb-e-musalsal kī baat hai
dil ko sukūn ho to ġhazal-ḳhvāniyāñ na hoñ
zaḳhm-e-jigar ko apne chhupātā rahā huuñ maiñ
is ḳhauf se ki un ko pashemāniyāñ na hoñ
vo din guzar ga.e ki mohabbat gunāh thī
ab to mushāhidāt ko hairāniyāñ na hoñ
us dil pe soz-o-sāz-e-mohabbat harām hai
jis meñ nashāt-e-ġham kī farāvāniyāñ na hoñ
ai 'shauq' barq-o-bād kā is meñ qusūr kyā
qismat burī na ho to pareshāniyāñ na hoñ
kya lutf zindagi ka jo nadaniyan na hon
sine mein dil ho aur pareshaniyan na hon
tark-e-talluqat to karte ho dekhna
tum ko KHuda-na-karda pashemaniyan na hon
ye sari iztirab-e-musalsal ki baat hai
dil ko sukun ho to ghazal-KHwaniyan na hon
zaKHm-e-jigar ko apne chhupata raha hun main
is KHauf se ki un ko pashemaniyan na hon
wo din guzar gae ki mohabbat gunah thi
ab to mushahidat ko hairaniyan na hon
us dil pe soz-o-saz-e-mohabbat haram hai
jis mein nashat-e-gham ki farawaniyan na hon
ai 'shauq' barq-o-baad ka is mein qusur kya
qismat buri na ho to pareshaniyan na hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.