kya mai-kada hai ishq haqiqat mein yar ka
kya mai-kada hai ishq haqiqat mein yar ka
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
kyā mai-kada hai ishq haqīqat meñ yaar kā
be-ḳhud kā hai jo haal vahī hoshiyār kā
kyā mahv-e-ishq huuñ mujhe itnī nahīñ ḳhabar
furqat kī shab hai roz hai yā vasl-e-yār kā
jo chāhe vo sulūk kare hasrat-e-baqā
maiñ aur saath zindagī-e-musta.ār kā
pahlū meñ ab kahāñ hai vo dil vo hujūm-e-yās
kyā jald miT gayā hai nishān us dayār kā
bāteñ bhī haiñ to vo haiñ ki ho aur ġham sivā
kyā jāneñ kis taraf ko hai dil ġham-gusār kā
gulshan meñ muntashir to haiñ aurāq-e-gul tamām
kaisā thā kuchh na pūchho zamāna bahār kā
kya mai-kada hai ishq haqiqat mein yar ka
be-KHud ka hai jo haal wahi hoshiyar ka
kya mahw-e-ishq hun mujhe itni nahin KHabar
furqat ki shab hai roz hai ya wasl-e-yar ka
jo chahe wo suluk kare hasrat-e-baqa
main aur sath zindagi-e-mustaar ka
pahlu mein ab kahan hai wo dil wo hujum-e-yas
kya jald miT gaya hai nishan us dayar ka
baaten bhi hain to wo hain ki ho aur gham siwa
kya jaanen kis taraf ko hai dil gham-gusar ka
gulshan mein muntashir to hain auraq-e-gul tamam
kaisa tha kuchh na puchho zamana bahaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.