kya main jugnu ko aaftab karun
kyā maiñ jugnū ko āftāb karūñ
yā charāġhoñ kā intiḳhāb karūñ
dil ye kahtā hai inqalāb karūñ
pesh us ko maiñ ik gulāb karūñ
vaqt ne kyā nahīñ diyā mujh ko
be-sabab vaqt kyuuñ ḳharāb karūñ
sar paTak kar ab us ke kūche meñ
apnī taqdīr se hisāb karūñ
maiñ karūñ phir koī savāl nayā
aur phir us ko lā-javāb karūñ
zindagī ne to haar maan hī lī
kam-se-kam maut kāmyāb karūñ
sab ke chehre pe ek chehra hai
kis kā chehra maiñ be-naqāb karūñ
kya main jugnu ko aaftab karun
ya charaghon ka intiKHab karun
dil ye kahta hai inqalab karun
pesh us ko main ek gulab karun
waqt ne kya nahin diya mujh ko
be-sabab waqt kyun KHarab karun
sar paTak kar ab us ke kuche mein
apni taqdir se hisab karun
main karun phir koi sawal naya
aur phir us ko la-jawab karun
zindagi ne to haar man hi li
kam-se-kam maut kaamyab karun
sab ke chehre pe ek chehra hai
kis ka chehra main be-naqab karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.