Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae

Mirza Mohammad Taqi Hawas

kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae

Mirza Mohammad Taqi Hawas

MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas

    kyā mazā ho jo kisī se tujhe ulfat ho jaa.e

    kuḌhe fikr rahe merī hālat ho jaa.e

    terā bīmār dam-e-naz.a ye māñge thā duā

    dekh luuñ phir use gar thoḌī mohlat ho jaa.e

    jā.iyo mat sabā baaġh se zindāñ taraf

    mujh ko Dar hai na asīroñ pe qayāmat ho jaa.e

    ai dil ik din guzar kar taraf-e-ahl-e-qubūr

    tā-ki dekhe se unhoñ ke tujhe ibrat ho jaa.e

    dekh tasvīr ko majnūñ 'havas' rashk na kar

    chāhiye ishq meñ terī bhī ye sūrat ho jaa.e

    kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae

    ji kuDhe fikr rahe meri si haalat ho jae

    tera bimar dam-e-naza ye mange tha dua

    dekh lun phir use gar thoDi si mohlat ho jae

    jaiyo mat tu saba bagh se zindan ki taraf

    mujh ko Dar hai na asiron pe qayamat ho jae

    ai dil ek din tu guzar kar taraf-e-ahl-e-qubur

    ta-ki dekhe se unhon ke tujhe ibrat ho jae

    dekh taswir ko majnun ki 'hawas' rashk na kar

    chahiye ishq mein teri bhi ye surat ho jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kya maza ho jo kisi se tujhe ulfat ho jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now