kya mera hi chehra hai
kyā merā hī chehrā hai
jis ko sāloñ dekhā hai
sūraj raat ke āñgan se
bilkul tanhā baiThā hai
us ko le kar bāñhoñ meñ
pyaar ziyāda karnā hai
ishq-gazīda raahī ko
ronā bhī to paḌtā hai
bhare-pure kamre ke biich
merā dil hī tanhā hai
aaj kā 'farhat' har lamha
aane vaale kal kā hai
kya mera hi chehra hai
jis ko salon dekha hai
suraj raat ke aangan se
bilkul tanha baiTha hai
us ko le kar banhon mein
pyar ziyaada karna hai
ishq-gazida rahi ko
rona bhi to paDta hai
bhare-pure kamre ke bich
mera dil hi tanha hai
aaj ka 'farhat' har lamha
aane wale kal ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.