kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar
kyā milā saare jahāñ kī ḳhaak ham ko chhān kar
dam-ba-ḳhud baiThe haiñ sannāTe kā ḳhema taan kar
fikr ke tābūt meñ sochoñ kī mayyat le gayā
ghar se niklā thā vo jaane jī meñ kyā kyā Thaan kar
kis qadar gambhīrtā thī us kī har ik baat meñ
le gayā merā sukūñ vo merā ghar pahchān kar
shahr kī galiyoñ ke patthar dushman-e-jāñ kar liye
bhuul kar ik gul-badan ko ham ne apnā jaan kar
jism kī dīvār se saa.e lipaT kar rah ga.e
raushnī ai raushnī mujh ko na yuuñ hairān kar
merī sūrat se mujhe bhī āshnā kar de kabhī
apne chehre kā dikhā ke aa.ina ehsān kar
kaam aa.egā tire 'sajjād-mirzā’ bas yahī
jis qadar bhī ho sake hāthoñ se apne daan kar
kya mila sare jahan ki KHak hum ko chhan kar
dam-ba-KHud baiThe hain sannaTe ka KHema tan kar
fikr ke tabut mein sochon ki mayyat le gaya
ghar se nikla tha wo jaane ji mein kya kya Than kar
kis qadar gambhirta thi us ki har ek baat mein
le gaya mera sukun wo mera ghar pahchan kar
shahr ki galiyon ke patthar dushman-e-jaan kar liye
bhul kar ek gul-badan ko hum ne apna jaan kar
jism ki diwar se sae lipaT kar rah gae
raushni ai raushni mujh ko na yun hairan kar
meri surat se mujhe bhi aashna kar de kabhi
apne chehre ka dikha ke aaina ehsan kar
kaam aaega tere 'sajjad-mirza’ bas yahi
jis qadar bhi ho sake hathon se apne dan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.