kya miTa doge nam phulon ka
kyā miTā doge naam phūloñ kā
na karo qatl-e-'ām phūloñ kā
rang-o-bū ne bhī saath chhoḌ diyā
rafta rafta tamām phūloñ kā
gulsitāñ ko faroġh hogā magar
shart hai ehtirām phūloñ kā
ik na ik din hisāb lenā hai
bāġhbāñ se tamām phūloñ kā
mausam-e-gul hai ye ḳhizāñ to nahīñ
kyuuñ hai barham nizām phūloñ kā
ek do kā mu'āmla to nahīñ
mas.ala hai tamām phūloñ kā
bijliyāñ le rahī haiñ gin gin kar
ġhāliban intiqām phūloñ kā
ḳhūn-e-nāhaq hai ye are tauba
sub.h ġhunchoñ kā shaam phūloñ kā
yuuñ jo murjhā ga.e baġhair khile
ġham hai aise tamām phūloñ kā
hai sabhī kī nigāh meñ 'rūmī'
aaj karb tamām phūloñ kā
kya miTa doge nam phulon ka
na karo qatl-e-'am phulon ka
rang-o-bu ne bhi sath chhoD diya
rafta rafta tamam phulon ka
gulsitan ko farogh hoga magar
shart hai ehtiram phulon ka
ek na ek din hisab lena hai
baghban se tamam phulon ka
mausam-e-gul hai ye KHizan to nahin
kyun hai barham nizam phulon ka
ek do ka mu'amla to nahin
masala hai tamam phulon ka
bijliyan le rahi hain gin gin kar
ghaaliban intiqam phulon ka
KHun-e-nahaq hai ye are tauba
subh ghunchon ka sham phulon ka
yun jo murjha gae baghair khile
gham hai aise tamam phulon ka
hai sabhi ki nigah mein 'rumi'
aaj karb tamam phulon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.