kya moD ajab aaya ye rishton ke safar mein
kyā moḌ 'ajab aayā ye rishtoñ ke safar meñ
maiñ ḳhud se judā ho gayā is rāhguzar meñ
maiñ ne hī ubhāre haiñ ḳhutūt us ke badan ke
ik nuqta-e-mauhūm huuñ maiñ jis kī nazar meñ
baiThā pas-e-dīvār maiñ ye soch rahā huuñ
kab rauzan-e-dīvār badal jaatā hai dar meñ
gum kasrat-e-afrād meñ ho jaate haiñ chehre
insān kī pahchān ho kis tarh nagar meñ
aa.ī na sahāre ko ik āvāz-e-shanāsā
maiñ Duub gayā apnī sadāoñ ke bhañvar meñ
masrūr huuñ yuuñ tark-e-jahāñ kar ke maiñ 'kaifī'
duniyā hī simaT aa.ī hai goyā mire ghar meñ
kya moD 'ajab aaya ye rishton ke safar mein
main KHud se juda ho gaya is rahguzar mein
main ne hi ubhaare hain KHutut us ke badan ke
ek nuqta-e-mauhum hun main jis ki nazar mein
baiTha pas-e-diwar main ye soch raha hun
kab rauzan-e-diwar badal jata hai dar mein
gum kasrat-e-afrad mein ho jate hain chehre
insan ki pahchan ho kis tarh nagar mein
aai na sahaare ko ek aawaz-e-shanasa
main Dub gaya apni sadaon ke bhanwar mein
masrur hun yun tark-e-jahan kar ke main 'kaifi'
duniya hi simaT aai hai goya mere ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.