kya muttafiq hain aap bhi mere KHayal se
kyā muttafiq haiñ aap bhī mere ḳhayāl se
chehre dikhā.ī dete haiñ dast-e-savāl se
ye baat pūchh aa.iye ahl-e-kamāl se
kab tak juḌe raheñge urūj-o-zavāl se
āvāzeñ de rahī haiñ azal se haqīqateñ
aadam nikal sakā na ‘aqā.ed ke jaal se
qaht-e-hunar meñ ahl-e-hunar kī talāsh hai
milte to haiñ ye ab bhī magar ḳhāl-ḳhāl se
hālāt apne jab bhī muḳhālif hoñ dosto
us vaqt kaam chaltā nahīñ hai misāl se
kya muttafiq hain aap bhi mere KHayal se
chehre dikhai dete hain dast-e-sawal se
ye baat puchh aaiye ahl-e-kamal se
kab tak juDe rahenge uruj-o-zawal se
aawazen de rahi hain azal se haqiqaten
aadam nikal saka na ‘aqaed ke jal se
qaht-e-hunar mein ahl-e-hunar ki talash hai
milte to hain ye ab bhi magar KHal-KHal se
haalat apne jab bhi muKHalif hon dosto
us waqt kaam chalta nahin hai misal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.