kya nahin meri hatheli mein sama sakta hai
kyā nahīñ merī hathelī meñ samā saktā hai
jab tirā haath mire haath meñ aa saktā hai
aur to ḳhair nahīñ baat kisī ke bas kī
haañ picasso tirī tasvīr banā saktā hai
tujh ko girne nahīñ dūñgā maiñ yaqīñ kar merā
haath apnā tū mirī or baḌhā saktā hai
ek shahzāda hai jo niiñd meñ hai barsoñ se
terā bosa hī use hosh meñ lā saktā hai
maiñ vo ḳhushbū huuñ akelī rahī hai jo janmoñ
kyā koī phuul mirā saath nibhā saktā hai
aable kyā haiñ faqat qalb kī hariyālī haiñ
tū bhī is dasht meñ kuchh peḌ lagā saktā hai
kya nahin meri hatheli mein sama sakta hai
jab tera hath mere hath mein aa sakta hai
aur to KHair nahin baat kisi ke bas ki
han picasso teri taswir bana sakta hai
tujh ko girne nahin dunga main yaqin kar mera
hath apna tu meri or baDha sakta hai
ek shahzada hai jo nind mein hai barson se
tera bosa hi use hosh mein la sakta hai
main wo KHushbu hun akeli rahi hai jo janmon
kya koi phul mera sath nibha sakta hai
aable kya hain faqat qalb ki hariyali hain
tu bhi is dasht mein kuchh peD laga sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.