kya pahanta badan kafan ke baad
kyā pahantā badan kafan ke baad
ḳhaak hai sab ye pairahan ke baad
jaan de sakte haiñ tumheñ bhī ham
jaan lekin suno vatan ke baad
maiñ pareshān itnā ho na sakā
hotā bhī kitnā pur-shikan ke baad
kyā ajab tezī zindagī meñ hai
chal rahā huuñ maiñ par badan ke baad
vasl kar hijr ko gañvā diyā hai
jo milā thā baḌe jatan ke baad
sar sabhī ḳhuub haiñ magar us kī
chūḌiyoñ kī khanan khanan ke baad
ye badan phir bhī ḳhaak honā hai
ruuh kā kyā kareñ badan ke baad
kya pahanta badan kafan ke baad
KHak hai sab ye pairahan ke baad
jaan de sakte hain tumhein bhi hum
jaan lekin suno watan ke baad
main pareshan itna ho na saka
hota bhi kitna pur-shikan ke baad
kya ajab tezi zindagi mein hai
chal raha hun main par badan ke baad
wasl kar hijr ko ganwa diya hai
jo mila tha baDe jatan ke baad
sar sabhi KHub hain magar us ki
chuDiyon ki khanan khanan ke baad
ye badan phir bhi KHak hona hai
ruh ka kya karen badan ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.