kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten
kyā pūchh rahe ho dil-e-bīmār kī bāteñ
kambaḳht samajhtā hī nahīñ pyaar kī bāteñ
sayyād ne sun lī to baḌhā degā sitam aur
chheḌo na qafas meñ gul-o-gulzār kī bāteñ
āñkhoñ se ravāñ ho gayā ashkoñ kā samundar
yaad aa.iiñ jo bichhḌe hue ġham-ḳhvār kī bāteñ
har Dūbne vaale ke baḌhāte haiñ marātib
tūfān ke qisse hoñ ki mañjdhār kī bāteñ
'ġhamgīn' mohabbat kī haqīqat ho vahāñ kyā
unvān hoñ jis bazm ke hathiyār kī bāteñ
kya puchh rahe ho dil-e-bimar ki baaten
kambaKHt samajhta hi nahin pyar ki baaten
sayyaad ne sun li to baDha dega sitam aur
chheDo na qafas mein gul-o-gulzar ki baaten
aankhon se rawan ho gaya ashkon ka samundar
yaad aain jo bichhDe hue gham-KHwar ki baaten
har Dubne wale ke baDhate hain maraatib
tufan ke qisse hon ki manjdhaar ki baaten
'ghamgin' mohabbat ki haqiqat ho wahan kya
unwan hon jis bazm ke hathiyar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.