kya puchhte ho tum hamein duniya ne kya diya
kyā pūchhte ho tum hameñ duniyā ne kyā diyā
kuchh zaḳhm dil ko 'umr ko kuchh tajraba diyā
sadme rah-e-hayāt ke sahnā muhāl thā
ik terī justujū ne hameñ hausla diyā
ham qāfile se chhūT ke tanhā nahīñ rahe
baḌh kar hujūm-e-shauq ne ik rāsta diyā
har samt chal rahī thī qayāmat kī āñdhiyāñ
ham ne havā ke ruḳh pe safīna lagā diyā
Duubā huā lahū meñ hai kyoñ ‘aks-e-zindagī
ye kis ne aadmī ko darinda banā diyā
chup-chāp dekhte haiñ tamāshā-e-āb-o-gil
dānā.ī tū ne chain se jiinā sikhā diyā
kya puchhte ho tum hamein duniya ne kya diya
kuchh zaKHm dil ko 'umr ko kuchh tajraba diya
sadme rah-e-hayat ke sahna muhaal tha
ek teri justuju ne hamein hausla diya
hum qafile se chhuT ke tanha nahin rahe
baDh kar hujum-e-shauq ne ek rasta diya
har samt chal rahi thi qayamat ki aandhiyan
hum ne hawa ke ruKH pe safina laga diya
Duba hua lahu mein hai kyon ‘aks-e-zindagi
ye kis ne aadmi ko darinda bana diya
chup-chap dekhte hain tamasha-e-ab-o-gil
danai tu ne chain se jina sikha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.