kya qahr hai zalim shab-e-furqat nahin jati
kyā qahr hai zālim shab-e-furqat nahīñ jaatī
aatī hai to aakar ye qayāmat nahīñ jaatī
pahle to bahāroñ meñ huā kartā thā saudā
ab daur-e-ḳhizāñ meñ bhī ye vahshat nahīñ jaatī
ḳhūbī kabhī jaatī nahīñ gulzār-e-vafā kī
pazhmurda bhī ho phuul to nik.hat nahīñ jaatī
kyā jazba-e-dil meñ bhī asar ab nahīñ baaqī
kyoñ aah sū-e-bāb-e-ijābat nahīñ jaatī
āḳhir vahī hotā hai jo marzī hai ḳhudā kī
rah jaatī hai tadbīr mashiyyat nahīñ jaatī
ye nashsha vo hai jis ko utarte nahīñ dekhā
jab sar meñ samā jaatī hai vahshat nahīñ jaatī
raftār yahī kahtī hai ab daur-e-zamāñ kī
rāhat chalī jaatī hai musībat nahīñ jaatī
ḳhālī na rahā hasrat-o-armāñ se mirā dil
armān nikal jaate haiñ hasrat nahīñ jaatī
unvāñ to bahut fann-o-adab ke hue sāqib
ai bazm-e-suḳhan terī zarūrat nahīñ jaatī
kya qahr hai zalim shab-e-furqat nahin jati
aati hai to aakar ye qayamat nahin jati
pahle to bahaaron mein hua karta tha sauda
ab daur-e-KHizan mein bhi ye wahshat nahin jati
KHubi kabhi jati nahin gulzar-e-wafa ki
pazhmurda bhi ho phul to nikhat nahin jati
kya jazba-e-dil mein bhi asar ab nahin baqi
kyon aah su-e-bab-e-ijabat nahin jati
aaKHir wahi hota hai jo marzi hai KHuda ki
rah jati hai tadbir mashiyyat nahin jati
ye nashsha wo hai jis ko utarte nahin dekha
jab sar mein sama jati hai wahshat nahin jati
raftar yahi kahti hai ab daur-e-zaman ki
rahat chali jati hai musibat nahin jati
KHali na raha hasrat-o-arman se mera dil
arman nikal jate hain hasrat nahin jati
unwan to bahut fann-o-adab ke hue saqib
ai bazm-e-suKHan teri zarurat nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.