Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya qayamat hai buton ki bazm mein jaane ka haz

Inamullah Khan Yaqeen

kya qayamat hai buton ki bazm mein jaane ka haz

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    kyā qayāmat hai butoñ bazm meñ jaane haz

    ham ko ḳhidmat unhoñ ko kaam farmāne haz

    vasl meñ bhī dard-mandoñ ko nahīñ rāhat nasīb

    dekh liije sham.a ke milne se parvāne haz

    is taraf gul TūTtā hai us taraf bulbul dil

    kyā rahā gulchīñ ke hāthoñ baaġh meñ jaane haz

    nikaltā hai mirā is par ki kab aa.egā haath

    yaar ke paañv pe sar ko rakh ke mar jaane haz

    būjhtā hai ḳhuub kaifiyyat nazāre 'yaqīñ'

    us nigāh-e-mast se letā hai maiḳhāne haz

    kya qayamat hai buton ki bazm mein jaane ka haz

    hum ko KHidmat ka unhon ko kaam farmane ka haz

    wasl mein bhi dard-mandon ko nahin rahat nasib

    dekh lije shama ke milne se parwane ka haz

    is taraf gul TuTta hai us taraf bulbul ka dil

    kya raha gulchin ke hathon bagh mein jaane ka haz

    ji nikalta hai mera is par ki kab aaega hath

    yar ke panw pe sar ko rakh ke mar jaane ka haz

    bujhta hai KHub kaifiyyat nazare ki 'yaqin'

    us nigah-e-mast se leta hai maiKHane ka haz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now