kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen

kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
kyā qayāmat hai ki ham ḳhud hī kaheñ ḳhud hī suneñ
ek se ek abu-jehl hai kis kis se laḌeñ
aur to koī batātā nahīñ is shahr kā haal
ishtihārāt hī dīvār ke paḌh kar dekheñ
yaañ to sab log haiñ dastār-e-fazīlat bāñdhe
koī ham sā jo ho mahfil meñ to ham bhī baiTheñ
jitne sāthī the vo is bhiiḌ meñ sab kho.e ga.e
ab to sab ek se lagte haiñ kise ham DhūñDheñ
ghar kī vīrānī talab kartī hai din bhar kā hisāb
ham ko ye fikr zarā shaam ko bāhar nikleñ
ḳhvāb dekhe nahīñ ḳhvāboñ kī tamanna kī hai
raat kis tarh se kaaTī hai ye kyā 'arz kareñ
hāsil-e-'umr bas ik kāsa-e-ḳhālī kyoñ ho
aur kuchh bas na chale zahr se is ko bhar leñ
ham se kyoñ pūchhte haiñ vaqt kī raftār kā haal
aap kyoñ ḳhud hī na masnad se utar kar dekheñ
dil pe ik bojh sā rakkhā hai kisī taur haTe
varaq-e-sāda mayassar ho to ham bhī likkheñ
kya qayamat hai ki hum KHud hi kahen KHud hi sunen
ek se ek abu-jehl hai kis kis se laDen
aur to koi batata nahin is shahr ka haal
ishtihaaraat hi diwar ke paDh kar dekhen
yan to sab log hain dastar-e-fazilat bandhe
koi hum sa jo ho mahfil mein to hum bhi baiThen
jitne sathi the wo is bhiD mein sab khoe gae
ab to sab ek se lagte hain kise hum DhunDhen
ghar ki virani talab karti hai din bhar ka hisab
hum ko ye fikr zara sham ko bahar niklen
KHwab dekhe nahin KHwabon ki tamanna ki hai
raat kis tarh se kaTi hai ye kya 'arz karen
hasil-e-'umr bas ek kasa-e-KHali kyon ho
aur kuchh bas na chale zahr se is ko bhar len
hum se kyon puchhte hain waqt ki raftar ka haal
aap kyon KHud hi na masnad se utar kar dekhen
dil pe ek bojh sa rakkha hai kisi taur haTe
waraq-e-sada mayassar ho to hum bhi likkhen
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 85)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.