kya qayamat ka hai bazar tere kuche mein
kyā qayāmat kā hai bāzār tire kūche meñ
bikne aate haiñ ḳharīdār tire kūche meñ
tū vo iisā hai ki ai nabz-shanās-e-kaunain
ibn-e-mariyam bhī hai bīmār tire kūche meñ
izn-e-dīdār to hai aam magar kyā kahiye
chashm-e-bīnā bhī hai be-kār tire kūche meñ
jis ne dekhā ho nazar bhar ke tirā husn-e-tamām
koī aisā bhī hai ai yaar tire kūche meñ
'ārzū' sā kabhī dekhā hai koī kāfir-e-ishq
yuuñ to haiñ saikḌoñ dīñ-dār tire kūche meñ
kya qayamat ka hai bazar tere kuche mein
bikne aate hain KHaridar tere kuche mein
tu wo isa hai ki ai nabz-shanas-e-kaunain
ibn-e-mariyam bhi hai bimar tere kuche mein
izn-e-didar to hai aam magar kya kahiye
chashm-e-bina bhi hai be-kar tere kuche mein
jis ne dekha ho nazar bhar ke tera husn-e-tamam
koi aisa bhi hai ai yar tere kuche mein
'arzu' sa kabhi dekha hai koi kafir-e-ishq
yun to hain saikDon din-dar tere kuche mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 241)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.