kya rabt ek dard se bante chale gae
kyā rabt ek dard se bante chale ga.e
jañgal meñ jaise rāste bante chale ga.e
kaḌiyāñ kaḌī quyūd kī baḌhtī chalī ga.iiñ
hiile rah-e-najāt ke bante chale ga.e
hoñToñ pe khil uThā to huā dāġh-e-dil duā
kyā kyā suḳhan ke silsile bante chale ga.e
kis sūrat-e-sabāt pe Thahrī nigāh-e-dil
ik raqs-e-rau meñ TūTte bante chale ga.e
bote rahe lahū ke diye ham zamīn meñ
ḳhurshīd āsmān pe bante chale ga.e
'ālī' muqāble kā na koī udū rahā
ham aap apne dūsre bante chale ga.e
kya rabt ek dard se bante chale gae
jangal mein jaise raste bante chale gae
kaDiyan kaDi quyud ki baDhti chali gain
hile rah-e-najat ke bante chale gae
honTon pe khil uTha to hua dagh-e-dil dua
kya kya suKHan ke silsile bante chale gae
kis surat-e-sabaat pe Thahri nigah-e-dil
ek raqs-e-rau mein TuTte bante chale gae
bote rahe lahu ke diye hum zamin mein
KHurshid aasman pe bante chale gae
'ali' muqable ka na koi udu raha
hum aap apne dusre bante chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.