kya raha ai zindagi sham-o-sahar koi nahin
kyā rahā ai zindagī shām-o-sahar koī nahīñ
manziloñ kī daad kyā deñ ham-safar koī nahīñ
be-sabātī aa ga.ī dīvār-e-dil ko phāñd kar
marne vaale mar ga.e haiñ nauhagar koī nahīñ
kashtiyoñ ko chhoḌ kar ham ne liyā aglā qadam
kārvān-e-mīr kī lekin ḳhabar koī nahīñ
roz rote kāTtī haiñ shab Dhale tanhā.iyāñ
chār-sū rishte bhare haiñ chārāgar koī nahīñ
ḳhaak Daalī ḳhaak oḌhī ḳhaak par leTā rahā
vo baḌe bedard haiñ un par asar koī nahīñ
raushnī ke gumbadoñ ko de salāmī 'māhtāb'
jis meñ ishq-e-mustafā ho us ko Dar koī nahīñ
kya raha ai zindagi sham-o-sahar koi nahin
manzilon ki dad kya den ham-safar koi nahin
be-sabaati aa gai diwar-e-dil ko phand kar
marne wale mar gae hain nauhagar koi nahin
kashtiyon ko chhoD kar hum ne liya agla qadam
karwan-e-mir ki lekin KHabar koi nahin
roz rote kaTti hain shab Dhale tanhaiyan
chaar-su rishte bhare hain chaaragar koi nahin
KHak Dali KHak oDhi KHak par leTa raha
wo baDe bedard hain un par asar koi nahin
raushni ke gumbadon ko de salami 'mahtab'
jis mein ishq-e-mustafa ho us ko Dar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.