kya rawish iKHtiyar kar baiThe
kyā ravish iḳhtiyār kar baiThe
be-vafāoñ se pyaar kar baiThe
jo samajhte nahīñ haiñ dil kī zabāñ
un pe ham dil-nisār kar baiThe
hijr kī raat kaaTe kaTtī nahīñ
ek pal ko hazār kar baiThe
tāb-e-nazzāra kab thī āñkhoñ meñ
phir bhī zid baar baar kar baiThe
un kā va.ada to sirf va.ada thā
jis pe ham e.atibār kar baiThe
jaane vaale na ā.eñge hargiz
log kyoñ intizār kar baiThe
kar ke iz.hār-e-hāl un se 'majīd'
ḳhud ko ham sharmsār kar baiThe
kya rawish iKHtiyar kar baiThe
be-wafaon se pyar kar baiThe
jo samajhte nahin hain dil ki zaban
un pe hum dil-nisar kar baiThe
hijr ki raat kaTe kaTti nahin
ek pal ko hazar kar baiThe
tab-e-nazzara kab thi aankhon mein
phir bhi zid bar bar kar baiThe
un ka wada to sirf wada tha
jis pe hum eatibar kar baiThe
jaane wale na aaenge hargiz
log kyon intizar kar baiThe
kar ke izhaar-e-haal un se 'majid'
KHud ko hum sharmsar kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.