kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun
kyā saath tirā duuñ ki maiñ ik mauj-e-havā huuñ
bas ek nafas arz-e-tamannā ko rukā huuñ
rahtā huuñ bagūloñ kī tarah raqs meñ be-tāb
ai ham-nafaso maiñ dil-e-sahrā se uThā huuñ
qatra huuñ maiñ dariyā meñ mujhe kuchh nahīñ ma.alūm
ham-rāh mire kaun hai maiñ kis se judā huuñ
ik lamha Thahar mujh ko bhī ham-rāh liye chal
ai laila-e-hastī tirā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ
ai zabt-e-nazar de mire īmāñ kī gavāhī
tū hī to samajhtā hai ki maiñ kaun huuñ kyā huuñ
chāhe bhī to vo mujh se judā ho nahīñ saktā
vo hai mirī zanjīr to maiñ us kī sadā huuñ
maiñ arsh-nashīñ bhī huuñ tire ghar kā makīñ bhī
maiñ nik.hat-e-īmān huuñ maiñ bū-e-vafā huuñ
kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun
bas ek nafas arz-e-tamanna ko ruka hun
rahta hun bagulon ki tarah raqs mein be-tab
ai ham-nafaso main dil-e-sahra se uTha hun
qatra hun main dariya mein mujhe kuchh nahin malum
ham-rah mere kaun hai main kis se juda hun
ek lamha Thahar mujh ko bhi ham-rah liye chal
ai laila-e-hasti tera naqsh-e-kaf-e-pa hun
ai zabt-e-nazar de mere iman ki gawahi
tu hi to samajhta hai ki main kaun hun kya hun
chahe bhi to wo mujh se juda ho nahin sakta
wo hai meri zanjir to main us ki sada hun
main arsh-nashin bhi hun tere ghar ka makin bhi
main nikhat-e-iman hun main bu-e-wafa hun
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 14.09.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.