kya sab ki nazar mein hai auqat samajhte hain
kya sab ki nazar mein hai auqat samajhte hain
Brijes Talat Nizamii
MORE BYBrijes Talat Nizamii
kyā sab kī nazar meñ hai auqāt samajhte haiñ
dīvāne sahī phir bhī ye baat samajhte haiñ
mā'lūm nahīñ shāyad mafhūm-e-sahar un ko
jo log ujāloñ ko zulmāt samajhte haiñ
nādāñ ho abhī tum ne duniyā ko nahīñ dekhā
ham saare zamāne ke hālāt samajhte haiñ
shikva hī nahīñ karte ham un se jafāoñ kā
har zaḳhm-e-mohabbat ko sauġhāt samajhte haiñ
ye ahl-e-basīrat haiñ mazlūm kī āñkhoñ se
bahte hue aañsū bhī barsāt samajhte haiñ
kya sab ki nazar mein hai auqat samajhte hain
diwane sahi phir bhi ye baat samajhte hain
ma'lum nahin shayad mafhum-e-sahar un ko
jo log ujalon ko zulmat samajhte hain
nadan ho abhi tum ne duniya ko nahin dekha
hum sare zamane ke haalat samajhte hain
shikwa hi nahin karte hum un se jafaon ka
har zaKHm-e-mohabbat ko saughat samajhte hain
ye ahl-e-basirat hain mazlum ki aankhon se
bahte hue aansu bhi barsat samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.