kya sabab bataen hum apni is udasi ka
kyā sabab batā.eñ ham apnī is udāsī kā
rāsta nahīñ miltā dard ko nikāsī kā
ek tez jhoñke meñ uḌ ga.e sabhī ḳheme
dil bhī kyā kare shikva apnī be-asāsī kā
har taraf ḳhamoshī kī ik dabīz chādar hai
ham ne karb jhelā hai apnī ḳhud-shanāsī kā
zaḳhm zaḳhm chehre par qahqahe sajā Daale
raaz bhī chhupānā thā apnī bad-havāsī kā
tum ga.e to kuchh aise lauT kar nahīñ aa.e
haal bhī nahīñ pūchhā is nagar ke baasī kā
maiñ ne apne ashkoñ ko aañkh meñ jalā Daalā
kyā kare gila koī terī nā-sipāsī kā
kya sabab bataen hum apni is udasi ka
rasta nahin milta dard ko nikasi ka
ek tez jhonke mein uD gae sabhi KHeme
dil bhi kya kare shikwa apni be-asasi ka
har taraf KHamoshi ki ek dabiz chadar hai
hum ne karb jhela hai apni KHud-shanasi ka
zaKHm zaKHm chehre par qahqahe saja Dale
raaz bhi chhupana tha apni bad-hawasi ka
tum gae to kuchh aise lauT kar nahin aae
haal bhi nahin puchha is nagar ke basi ka
main ne apne ashkon ko aankh mein jala Dala
kya kare gila koi teri na-sipasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.