kya sabab puchhte ho kya tha aur ab kya hua hun
kyā sabab pūchhte ho kyā thā aur ab kyā huā huuñ
hujra-e-ḳhvāb se niklā thā so andhā huā huuñ
sāya-e-naḳhl-e-tamannā se gurezāñ thā bahut
sāya-e-naḳhl-e-tamannā meñ sulagtā huā huuñ
ek din ḳhaak meñ mil jā.eñge ā.īne tamām
dekhiye nūr-e-badan meñ tirā chehra huā huuñ
merī vīrānī pe afsos na kar shahr-e-bahār
maiñ to ik baaġh thā kuchh soch ke sahrā huā huuñ
ab tirā ism hī kholegā mirī zaat ke dar
maiñ kisī lauh-e-farāmosh pe likkhā huā huuñ
kya sabab puchhte ho kya tha aur ab kya hua hun
hujra-e-KHwab se nikla tha so andha hua hun
saya-e-naKHl-e-tamanna se gurezan tha bahut
saya-e-naKHl-e-tamanna mein sulagta hua hun
ek din KHak mein mil jaenge aaine tamam
dekhiye nur-e-badan mein tera chehra hua hun
meri virani pe afsos na kar shahr-e-bahaar
main to ek bagh tha kuchh soch ke sahra hua hun
ab tera ism hi kholega meri zat ke dar
main kisi lauh-e-faramosh pe likkha hua hun
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 34)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.