Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki

Rahbar Jaunpuri

kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki

Rahbar Jaunpuri

MORE BYRahbar Jaunpuri

    kyā se kyā ho ga.ī is daur meñ hālat ghar

    dasht pur-nūr hue baḌh ga.ī zulmat ghar

    ab na darvāze raunaq na vo āñgan hujūm

    kis qadar baar hai āñkhoñ pe ziyārat ghar

    sab dahlīz pe jalte haiñ ta.assub ke charāġh

    kyā karegā koī aise meñ hifāzat ghar

    ḳhāmushī farzī rivāyāt ināyat īsār

    inheñ buniyādoñ pe mauqūf hai azmat ghar

    jin ke hisse meñ koī sāya-e-dīvār nahīñ

    vo bhī insāñ haiñ unheñ bhī hai zarūrat ghar

    laakh qismat meñ ġharīb-ul-vatanī ho 'rahbar'

    khīñch laa.ī hai magar phir bhī mohabbat ghar

    kya se kya ho gai is daur mein haalat ghar ki

    dasht pur-nur hue baDh gai zulmat ghar ki

    ab na darwaze ki raunaq na wo aangan ka hujum

    kis qadar bar hai aankhon pe ziyarat ghar ki

    sab ki dahliz pe jalte hain tassub ke charagh

    kya karega koi aise mein hifazat ghar ki

    KHamushi farzi riwayat inayat isar

    inhen buniyaadon pe mauquf hai azmat ghar ki

    jin ke hisse mein koi saya-e-diwar nahin

    wo bhi insan hain unhen bhi hai zarurat ghar ki

    lakh qismat mein gharib-ul-watani ho 'rahbar'

    khinch lai hai magar phir bhi mohabbat ghar ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now