kya shauq hai aashufta-sari DhunD rahe ho
kyā shauq hai āshufta-sarī DhūñD rahe ho
sahrā meñ koī shāḳh harī DhūñD rahe ho
manzil se jo vāqif haiñ na rāhoñ se ḳhabar-dār
un logoñ meñ tum rāhbarī DhūñD rahe ho
bārish kī tamanna hai to bādal ko pukāro
kyoñ garm havāoñ meñ tarī DhūñD rahe ho
jugnū sī chamak pā ke tū itrā.e hue the
ab thak ke charāġh-e-saharī DhūñD rahe ho
jo ḳhud bhī hai sūraj kī ziyāoñ kā talabgār
us chāñd meñ kyā jalvagarī DhūñD rahe ho
haiñ baal jo kuchh shīsha-e-dil par unheñ dekho
pyāle meñ kahāñ shīshagarī DhūñD rahe ho
kya shauq hai aashufta-sari DhunD rahe ho
sahra mein koi shaKH hari DhunD rahe ho
manzil se jo waqif hain na rahon se KHabar-dar
un logon mein tum rahbari DhunD rahe ho
barish ki tamanna hai to baadal ko pukaro
kyon garm hawaon mein tari DhunD rahe ho
jugnu si chamak pa ke tu itrae hue the
ab thak ke charagh-e-sahari DhunD rahe ho
jo KHud bhi hai suraj ki ziyaon ka talabgar
us chand mein kya jalwagari DhunD rahe ho
hain baal jo kuchh shisha-e-dil par unhen dekho
pyale mein kahan shishagari DhunD rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.