kya shikayat ho bhala us se ho shikwa kaisa
kyā shikāyat ho bhalā us se ho shikva kaisā
vaqt-e-mushkil jo nahīñ apnā to apnā kaisā
muflisī shahr se ruḳhsat hue arsa guzrā
phir tire shahr meñ ye shor-sharāba kaisā
ab na.e phuul chaman meñ bhī nahīñ dikhte haiñ
rang chhāyā hai bahāroñ pe ḳhizāñ sā kaisā
haiñ agar amn-o-mohabbat ke sabhī shaidā.ī
phir bhalā duniyā meñ ye ḳhūn-ḳharāba kaisā
kyā yahāñ jhopḌī ab koī nahīñ baaqī hai
aaj galiyoñ meñ amīroñ kī añdherā kaisā
tiir āñkhoñ se chalā aur huā dil zaḳhmī
in hasīnoñ kī hai nazroñ kā nishāna kaisā
dost ho chāhe ki phir aap kā dushman ho 'taqī'
dil na jab tak mile phir haath milānā kaisā
kya shikayat ho bhala us se ho shikwa kaisa
waqt-e-mushkil jo nahin apna to apna kaisa
muflisi shahr se ruKHsat hue arsa guzra
phir tere shahr mein ye shor-sharaba kaisa
ab nae phul chaman mein bhi nahin dikhte hain
rang chhaya hai bahaaron pe KHizan sa kaisa
hain agar amn-o-mohabbat ke sabhi shaidai
phir bhala duniya mein ye KHun-KHaraba kaisa
kya yahan jhopDi ab koi nahin baqi hai
aaj galiyon mein amiron ki andhera kaisa
tir aankhon se chala aur hua dil zaKHmi
in hasinon ki hai nazron ka nishana kaisa
dost ho chahe ki phir aap ka dushman ho 'taqi'
dil na jab tak mile phir hath milana kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.